jashn e eid sabhii ne eid manaaii mire gulistaan men
— Shakeb Jalali
Sabhee ne 'iid manaa.ee mire gulistaan men
Kisee ne phuul piro.e kisee ne khaar chune
Ba-naam-e-izn-e-takallum ba-naam-e-jabr-e-sukoot
Kisee ne honT chabaa.e kisee ne giit bune
BaDe ghazab kaa gulistaan men jashn-e-'eed huaa
Kaheen to bijliyaan kaundeen kaheen cheenaar jale
Kaheen kaheen koi faanoos bhee nazar aayaa
Ba-taur-e-khaas magar qalb-e-daagh-daar jale
'ajab thee 'eed-e-khumistaan 'ajab thaa rang-e-nashaat
Kisee ne baada-o-saaghar kisee ne ashk piye
Kisee ne atlas-o-kamkhvaab kee qabaa pahnee
Kisee ne chaak-e-garebaan kisee ne zakhm siye
Hamaare zauq-e-nazaara ko 'iid ke din bhee
Kaheen pe saaya-e-zulmat kaheen pe nuur milaa
Kisee ne deeda-o-dil ke kanval khile paa.e
Kisee ko saaghar-e-ehsaas chaknaa-choor milaa
Ba-faiz-e-'eed bhee paidaa huee na yak-rangee
Koee malool koi gham se be-niyaaz raha
BaDaa ghazab hai khudavand-e-kausar-o-tasneem
Ki roz-e-'eed bhee tabqon kaa imtiyaaz raha
Sabhi ne 'id manai mere gulistan mein
Kisi ne phul piroe kisi ne KHar chune
Ba-nam-e-izn-e-takallum ba-nam-e-jabr-e-sukut
Kisi ne honT chabae kisi ne git bune
BaDe ghazab ka gulistan mein jashn-e-'id hua
Kahin to bijliyan kaundin kahin chinar jale
Kahin kahin koi fanus bhi nazar aaya
Ba-taur-e-KHas magar qalb-e-dagh-dar jale
'ajab thi 'id-e-KHumistan 'ajab tha rang-e-nashat
Kisi ne baada-o-saghar kisi ne ashk piye
Kisi ne atlas-o-kamKHwab ki qaba pahni
Kisi ne chaak-e-gareban kisi ne zaKHm siye
Hamare zauq-e-nazara ko 'id ke din bhi
Kahin pe saya-e-zulmat kahin pe nur mila
Kisi ne dida-o-dil ke kanwal khile pae
Kisi ko saghar-e-ehsas chakna-chur mila
Ba-faiz-e-'id bhi paida hui na yak-rangi
Koi malul koi gham se be-niyaz raha
BaDa ghazab hai KHudawand-e-kausar-o-tasnim
Ki roz-e-'id bhi tabqon ka imtiyaz raha