jihat ki talaash
— Shakeb Jalali
Yahaan darakht ke uupar ugaa huaa hai darakht
Zameen tang hai (jaise kabhi faraakh na thii)
Havaa kaa kaal paDaa hai, namee bhee aam nahin
Samundaron ko bilo kar fazaaon ko math kar
Janam diye hain agar chand abr ke TukDe
JhapaT liyaa hai unhen yuun daraaz shaakhon ne
Ki neem-jaan tane ko zaraa khabar na huee
JaDen bhee khaak tale ek hee lagan men ravaan
Na teergee se mafar hai, na raushnee kaa savaal
Zameen men paanv dhanse hain fazaa men haat buland
Na.ee jihat kaa lage ab darakht men paivand
Yahan daraKHt ke upar uga hua hai daraKHt
Zamin tang hai (jaise kabhi faraKH na thi)
Hawa ka kal paDa hai, nami bhi aam nahin
Samundaron ko bilo kar fazaon ko math kar
Janam diye hain agar chand abr ke TukDe
JhapaT liya hai unhen yun daraaz shaKHon ne
Ki nim-jaan tane ko zara KHabar na hui
JaDen bhi KHak tale ek hi lagan mein rawan
Na tirgi se mafar hai, na raushni ka sawal
Zamin mein panw dhanse hain faza mein hat buland
Nai jihat ka lage ab daraKHt mein paiwand