kaalaa patthar
— Shakeb Jalali
Meraa chehra aa.eena hai
Aa.eene par daagh jo hote
Lahoo kee barkhaa se main dhotaa
Apne andar jhaank ke dekho
Dil ke patthar men kaalak kee kitnee parten jamee huee hain
Jin se har nithraa-suthraa manzar kajlaa saa gaya
Dariyaa suukh ga.e hain sharm ke maare
Ko.ele par se kaalak kaun utaare!!
Mera chehra aaina hai
Aaine par dagh jo hote
Lahu ki barkha se main dhota
Apne andar jhank ke dekho
Dil ke patthar mein kalak ki kitni parten jami hui hain
Jin se har nithra-suthra manzar kajla sa gaya
Dariya sukh gae hain sharm ke mare
Koele par se kalak kaun utare!!