khamoshii bol utthe har nazar paigaam ho jaae
— Shakeb Jalali
Khamoshee bol uTThe har nazar paighaam ho jaa.e
Ye sannaaTaa agar had se baDhe kohraam ho jaa.e
Sitaare mish.alen le kar mujhe bhee DhoonDne niklen
Main rasta bhuul jaaon jangalon men shaam ho jaa.e
Main wo aadam-gazeeda hoon jo tanhaa.ee ke sahraa men
Khud apnee chaap sun kar larza-bar-andaam ho jaa.e
Misaal aisi hai is daur-e-khirad ke hosh-mandon kee
Na ho daaman men zarra aur sahraa naam ho jaa.e
'shakeb' apne ta.aaruf ke liye ye baat kaafee hai
Ham us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jaa.e
KHamoshi bol uTThe har nazar paigham ho jae
Ye sannaTa agar had se baDhe kohram ho jae
Sitare mishalen le kar mujhe bhi DhunDne niklen
Main rasta bhul jaun jangalon mein sham ho jae
Main wo aadam-gazida hun jo tanhai ke sahra mein
KHud apni chap sun kar larza-bar-andam ho jae
Misal aisi hai is daur-e-KHirad ke hosh-mandon ki
Na ho daman mein zarra aur sahra nam ho jae
'shakeb' apne taaruf ke liye ye baat kafi hai
Hum us se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jae