khvaab e gul rang ke anjaam pe ronaa aayaa
— Shakeb Jalali
Khvaab-e-gul-rang ke anjaam pe ronaa aayaa
Aamad-e-sub.h-e-shab-andaam pe ronaa aayaa
Dil kaa mafhoom ishaaron se ujaagar na huaa
Be-kasee-e-gila-e-khaam pe ronaa aayaa
Kabhee ulfat see jhalaktee hai kabhi nafrat see
Ai ta.alluq tire ib.haam pe ronaa aayaa
Miree khushiyaan kabhi jis naam se vaabasta thiin
Jaane kyuun aaj usee naam pe ronaa aayaa
Le ke ubhregee sahar phir vahee pazhmurda kiran
Kyaa kahoon teergi-e-shaam pe ronaa aayaa
Be-sabab apnee nigaahon se giraa jaataa hoon
Is fusoon-kaaree-e-ilzaam pe ronaa aayaa
Itne arzaan to nahin the mire ashkon ke guhar
Aaj kyuun talkhee-e-aalaam pe ronaa aayaa
Laayaq-e-husn-e-nazar the na kabhi un ke khutoot
Aaj mahroomee-e-paighaam pe ronaa aayaa
Ab bhee manzil mire qadmon kee tamannaa.ee hai
Kyaa kahoon hasrat-e-yak-gaam pe ronaa aayaa
Rone vaalaa to karegaa na kisee kaa shikva
Laakh kahiye gham-e-ayyaam pe ronaa aayaa
Un ke shub.haat men Kuch aur izaafa thaa 'shakeb'
Ashk-e-saada ke is in.aam pe ronaa aayaa
KHwab-e-gul-rang ke anjam pe rona aaya
Aamad-e-subh-e-shab-andam pe rona aaya
Dil ka mafhum ishaaron se ujagar na hua
Be-kasi-e-gila-e-KHam pe rona aaya
Kabhi ulfat si jhalakti hai kabhi nafrat si
Ai talluq tere ibham pe rona aaya
Meri KHushiyan kabhi jis nam se wabasta thin
Jaane kyun aaj usi nam pe rona aaya
Le ke ubhregi sahar phir wahi pazhmurda kiran
Kya kahun tirgi-e-sham pe rona aaya
Be-sabab apni nigahon se gira jata hun
Is fusun-kari-e-ilzam pe rona aaya
Itne arzan to nahin the mere ashkon ke guhar
Aaj kyun talKHi-e-alam pe rona aaya
Layaq-e-husn-e-nazar the na kabhi un ke KHutut
Aaj mahrumi-e-paigham pe rona aaya
Ab bhi manzil mere qadmon ki tamannai hai
Kya kahun hasrat-e-yak-gam pe rona aaya
Rone wala to karega na kisi ka shikwa
Lakh kahiye gham-e-ayyam pe rona aaya
Un ke shubhat mein Kuch aur izafa tha 'shakeb'
Ashk-e-sada ke is inam pe rona aaya