kya kahiye ki ab us ki sadaa tak nahin aatii

Shakeb Jalali

Kya kahiye ki ab us kee sadaa tak nahin aatee Oonchee hon faseelen to havaa tak nahin aatee Shaayad hee koi aa sake is moD se aage Is moD se aage to qazaa tak nahin aatee Vo gul na rahe nik.hat-e-gul khaak milegee Ye soch ke gulshan men sabaa tak nahin aatee Is shor-e-talaatum men koi kis ko pukaare Kaanon men yahaan apnee sadaa tak nahin aatee Khuddaar hoon kyuun aa.uun dar-e-ahl-e-karam par Khetee kabhi khud chal ke ghaTaa tak nahin aatee Us dasht men qadmon ke nishaan DhoonDh rahe ho PeDon se jahaan chhan ke ziyaa tak nahin aatee Yaa jaate hue mujh se lipaT jaatee thiin shaakhen Yaa mere bulaane se sabaa tak nahin aatee Kyaa khushk huaa raushniyon kaa wo samundar Ab koi kiran aabla-paa tak nahin aatee Chhup chhup ke sadaa jhaanktee hain khalvat-e-gul men Mahtaab kee kirnon ko hayaa tak nahin aatee Ye kaun bataa.e adam-aabaad hai kaisaa TuuTee huee qabron se sadaa tak nahin aatee Behtar hai palaT jaao siyah-khaana-e-gham se Is sard guphaa men to havaa tak nahin aatee Kya kahiye ki ab us ki sada tak nahin aati Unchi hon fasilen to hawa tak nahin aati Shayad hi koi aa sake is moD se aage Is moD se aage to qaza tak nahin aati Wo gul na rahe nikhat-e-gul KHak milegi Ye soch ke gulshan mein saba tak nahin aati Is shor-e-talatum mein koi kis ko pukare Kanon mein yahan apni sada tak nahin aati KHuddar hun kyun aaun dar-e-ahl-e-karam par Kheti kabhi KHud chal ke ghaTa tak nahin aati Us dasht mein qadmon ke nishan DhunDh rahe ho PeDon se jahan chhan ke ziya tak nahin aati Ya jate hue mujh se lipaT jati thin shaKHen Ya mere bulane se saba tak nahin aati Kya KHushk hua raushniyon ka wo samundar Ab koi kiran aabla-pa tak nahin aati Chhup chhup ke sada jhankti hain KHalwat-e-gul mein Mahtab ki kirnon ko haya tak nahin aati Ye kaun batae adam-abaad hai kaisa TuTi hui qabron se sada tak nahin aati Behtar hai palaT jao siyah-KHana-e-gham se Is sard gupha mein to hawa tak nahin aati