naqaab e rukh uthaayaa jaa raha hai
— Shakeb Jalali
Naqaab-e-rukh uThaayaa jaa raha hai
GhaTaa men chaand aayaa jaa raha hai
Zamaane kee nigaahon men samo kar
Mujhe dil se bhulaayaa jaa raha hai
Kahaan kaa jaam jab yaan zauq-e-mastee
Nigaahon se pilaayaa jaa raha hai
Abhee armaan Kuch baaqee hain dil men
Mujhe phir aazmaayaa jaa raha hai
Pilaa kar phir sharaab-e-husn-o-jalva
Mujhe be-khud banaayaa jaa raha hai
Salaamat aap kaa jaur-e-musalsal
Mire dil ko dukhaayaa jaa raha hai
'shakeb' ab wo tasavvur men na aa.en
Kaleja munh ko aayaa jaa raha hai
Naqab-e-ruKH uThaya ja raha hai
GhaTa mein chand aaya ja raha hai
Zamane ki nigahon mein samo kar
Mujhe dil se bhulaya ja raha hai
Kahan ka jam jab yan zauq-e-masti
Nigahon se pilaya ja raha hai
Abhi arman Kuch baqi hain dil mein
Mujhe phir aazmaya ja raha hai
Pila kar phir sharab-e-husn-o-jalwa
Mujhe be-KHud banaya ja raha hai
Salamat aap ka jaur-e-musalsal
Mere dil ko dukhaya ja raha hai
'shakeb' ab wo tasawwur mein na aaen
Kaleja munh ko aaya ja raha hai