raushan hain dil ke daag na aankhon ke shab charaag

Shakeb Jalali

Raushan hain dil ke daagh na aankhon ke shab-charaagh Kyuun shaam hee se bujh ga.e mahfil ke sab charaagh Vo din nahin kiran se kiran men lage jo aag Vo shab kahaan charaagh se jalte the jab charaagh Tiira hai khaak-daan to falak be-nujoom hai Laa.e kahaan se maang ke dast-e-talab charaagh Raushan-zameer aaj bhee zulmat-naseeb hain Tum ne diye hain poochh ke naam-o-nasab charaagh Vo teergee hai dasht-e-wafa men ki al-amaan Chamke jo mauj-e-reg to paa.e laqab charaagh Din ho agar to raat se ta.abeer kyuun karen Sooraj ko ahl-e-hosh dikhaate hain kab charaagh Ai baad-e-tund vaz.a ke paaband ham bhee hain Patthar kee oT le ke jalaa.enge ab charaagh Raushan hain dil ke dagh na aankhon ke shab-charagh Kyun sham hi se bujh gae mahfil ke sab charagh Wo din nahin kiran se kiran mein lage jo aag Wo shab kahan charagh se jalte the jab charagh Tera hai KHak-dan to falak be-nujum hai Lae kahan se mang ke dast-e-talab charagh Raushan-zamir aaj bhi zulmat-nasib hain Tum ne diye hain puchh ke nam-o-nasab charagh Wo tirgi hai dasht-e-wafa mein ki al-aman Chamke jo mauj-e-reg to pae laqab charagh Din ho agar to raat se tabir kyun karen Suraj ko ahl-e-hosh dikhate hain kab charagh Ai baad-e-tund waza ke paband hum bhi hain Patthar ki oT le ke jalaenge ab charagh