saahil tamaam ashk e nadaamat se at gaya
— Shakeb Jalali
Saahil tamaam ashk-e-nadaamat se aT gaya
Dariyaa se koi shakhs to pyaasaa palaT gaya
Lagtaa thaa be-karaan mujhe sahraa men aasmaan
Pahunchaa jo bastiyon men to khaanon men baT gaya
Yaa itnaa sakht-jaan ki talvaar be-asar
Yaa itnaa narm-dil ki rag-e-gul se kaT gaya
Baanhon men aa sakaa na havelee kaa ik sutoon
Putlee men meree aankh kee sahraa simaT gaya
Ab kaun jaa.e ku-e-malaamat ko chhoD kar
Qadmon se aa ke apna hee saaya lipaT gaya
Gumbad kaa kya qusoor use kyuun kaho buraa
Aayaa jidhar se tair udhar hee palaT gaya
Rakhtaa hai khud se kaun hareefaana kashmakash
Main thaa ki raat apne muqaabil hee DaT gaya
Jis kee amaan men hoon vahee uktaa gaya na ho
Boonden ye kyuun barastee hain baadal to chhaT gaya
Vo lamha-e-shu.oor jise jaankanee kahen
Chehre se zindagee ke naqaaben ulaT gaya
Thokar se meraa paanv to zakhmee huaa zaroor
Raste men jo khaDaa thaa wo kohsaar haT gaya
Ik hashr saa bapaa thaa mire dil men ai 'shakeb'
Kholeen jo khiDkiyaan to zaraa shor ghaT gaya
Sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
Dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya
Lagta tha be-karan mujhe sahra mein aasman
Pahuncha jo bastiyon mein to KHanon mein baT gaya
Ya itna saKHt-jaan ki talwar be-asar
Ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kaT gaya
Banhon mein aa saka na haweli ka ek sutun
Putli mein meri aankh ki sahra simaT gaya
Ab kaun jae ku-e-malamat ko chhoD kar
Qadmon se aa ke apna hi saya lipaT gaya
Gumbad ka kya qusur use kyun kaho bura
Aaya jidhar se tair udhar hi palaT gaya
Rakhta hai KHud se kaun harifana kashmakash
Main tha ki raat apne muqabil hi DaT gaya
Jis ki aman mein hun wahi ukta gaya na ho
Bunden ye kyun barasti hain baadal to chhaT gaya
Wo lamha-e-shuur jise jaankani kahen
Chehre se zindagi ke naqaben ulaT gaya
Thokar se mera panw to zaKHmi hua zarur
Raste mein jo khaDa tha wo kohsar haT gaya
Ek hashr sa bapa tha mere dil mein ai 'shakeb'
Kholin jo khiDkiyan to zara shor ghaT gaya