sar e rah ab na yuun mujh ko pukaaro tum hi aa jaao
— Shakeb Jalali
Sar-e-rah ab na yuun mujh ko pukaaro tum hee aa jaao
Zaraa zahmat to hogee raaz-daaro tum hee aa jaao
Kaheen aisa na ho dam toD den hasrat se deevaane
Qafas tak un se milne ko bahaaro tum hee aa jaao
Bharosaa kya safeene kaa ka.ee toofaan haa.il hain
Hamaaree naa-khuda.ee ko kinaaro tum hee aa jaao
Abhee tak wo nahin aa.e yaqeenan raat baaqee hai
Hamaaree gham-gusaaree ko sitaaro tum hee aa jaao
'shakeb'-e-gham-zada ko dard se hai ab kahaan fursat
Agar Kuch vaqt mil jaa.e to pyaaro tum hee aa jaao
Sar-e-rah ab na yun mujh ko pukaro tum hi aa jao
Zara zahmat to hogi raaz-daro tum hi aa jao
Kahin aisa na ho dam toD den hasrat se diwane
Qafas tak un se milne ko bahaaro tum hi aa jao
Bharosa kya safine ka kai tufan hail hain
Hamari na-KHudai ko kinaro tum hi aa jao
Abhi tak wo nahin aae yaqinan raat baqi hai
Hamari gham-gusari ko sitaro tum hi aa jao
'shakeb'-e-gham-zada ko dard se hai ab kahan fursat
Agar Kuch waqt mil jae to pyaro tum hi aa jao