tuu ne kya kya na ai zindagii dasht o dar men phiraayaa mujhe
— Shakeb Jalali
Too ne kya kya na ai zindagee dasht o dar men phiraayaa mujhe
Ab to apne dar-o-baam bhee jaante hain paraayaa mujhe
Aur bhee Kuch bhaDakne lagaa mere siine kaa aatish-kada
Raas tujh bin na aayaa kabhi sabz peDon kaa saayaa mujhe
In na.ee konpalon se miraa kya koi bhee ta.alluq na thaa
Shaakh se toD kar ai sabaa khaak men kyuun milaayaa mujhe
Dard kaa diip jaltaa raha dil kaa sonaa pighaltaa raha
Ek Duube hue chaand ne raat bhar Khoon rulaayaa mujhe
Ab mire raaste men kaheen khauf-e-sahraa bhee haa.il nahin
Khushk patte ne aavaargee kaa qareena sikhaayaa mujhe
Muddaton roo-e-gul kee jhalak ko tarastaa raha main 'shakeb'
Ab jo aa.ee bahaar us ne sehn-e-chaman men na paayaa mujhe
Tu ne kya kya na ai zindagi dasht o dar mein phiraya mujhe
Ab to apne dar-o-baam bhi jaante hain paraya mujhe
Aur bhi Kuch bhaDakne laga mere sine ka aatish-kada
Ras tujh bin na aaya kabhi sabz peDon ka saya mujhe
In nai konpalon se mera kya koi bhi talluq na tha
ShaKH se toD kar ai saba KHak mein kyun milaya mujhe
Dard ka dip jalta raha dil ka sona pighalta raha
Ek Dube hue chand ne raat bhar KHun rulaya mujhe
Ab mere raste mein kahin KHauf-e-sahra bhi hail nahin
KHushk patte ne aawargi ka qarina sikhaya mujhe
Muddaton ru-e-gul ki jhalak ko tarasta raha main 'shakeb'
Ab jo aai bahaar us ne sehn-e-chaman mein na paya mujhe