vahii jhukii huii belen vahii dariicha thaa
— Shakeb Jalali
Vahee jhukee huee belen vahee dareecha thaa
Magar wo phuul saa chehra nazar na aataa thaa
Main lauT aayaa hoon khaamoshiyon ke sahraa se
Vahaan bhee teree sadaa kaa ghubaar phailaa thaa
Shab-e-safar thee qabaa teergee kee pahne hue
Kaheen kaheen pe koi raushnee kaa dhabbaa thaa
Ye aaDee-tirchhee lakeeren banaa gaya hai kaun
Main kya kahoon mire dil kaa varaq to saadaa thaa
Main khaak-daan se nikal kar bhee kya huaa aazaad
Har ik taraf se mujhe aasmaan ne gheraa thaa
Idhar se baar-haa guzraa magar khabar na huee
Ki zer-e-sang khunuk paaniyon kaa chashma thaa
Vo us kaa aks-e-badan thaa ki chaandnee kaa kanval
Vo niilee jhiil thee yaa aasmaan kaa TukDaa thaa
Main saahilon men utar kar 'shakeb' kya letaa
Azal se naam miraa paaniyon pe likkhaa thaa
Wahi jhuki hui belen wahi daricha tha
Magar wo phul sa chehra nazar na aata tha
Main lauT aaya hun KHamoshiyon ke sahra se
Wahan bhi teri sada ka ghubar phaila tha
Shab-e-safar thi qaba tirgi ki pahne hue
Kahin kahin pe koi raushni ka dhabba tha
Ye aaDi-tirchhi lakiren bana gaya hai kaun
Main kya kahun mere dil ka waraq to sada tha
Main KHak-dan se nikal kar bhi kya hua aazad
Har ek taraf se mujhe aasman ne ghera tha
Idhar se bar-ha guzra magar KHabar na hui
Ki zer-e-sang KHunuk paniyon ka chashma tha
Wo us ka aks-e-badan tha ki chandni ka kanwal
Wo nili jhil thi ya aasman ka TukDa tha
Main sahilon mein utar kar 'shakeb' kya leta
Azal se nam mera paniyon pe likkha tha