ye jalva gaah e naaz tamaashaaiyon se hai

Shakeb Jalali

Ye jalva-gaah-e-naaz tamaashaa.iyon se hai Raunaq jahaan kee anjuman-aaraa.iyon se hai Rote hain dil ke zakhm to hanstaa nahin koi Itnaa to faa.eda mujhe tanhaa.iyon se hai Deevaana-e-hayaat ko ik shaghl chaahiye Naadaaniyon se kaam na daanaa.iyon se hai Qaid-e-bayaan men aa.e jo naa-guftanee na ho Vo raabta ki qalb kee gahraa.iyon se hai Naadim nahin hoon daagh-e-faro-maa.egee pe main Teraa bharam bhee meree jabeen-saa.iyon se hai Ye jalwa-gah-e-naz tamashaiyon se hai Raunaq jahan ki anjuman-araiyon se hai Rote hain dil ke zaKHm to hansta nahin koi Itna to faeda mujhe tanhaiyon se hai Diwana-e-hayat ko ek shaghl chahiye Nadaniyon se kaam na danaiyon se hai Qaid-e-bayan mein aae jo na-guftani na ho Wo rabta ki qalb ki gahraiyon se hai Nadim nahin hun dagh-e-faro-maegi pe main Tera bharam bhi meri jabin-saiyon se hai