aagaaz e gul hai shauq magar tez abhii se hai

Tabish Dehlvi

Aaghaaz-e-gul hai shauq magar tez abhee se hai Ya.anee havaa-e-baagh junoon-khez abhee se hai Josh-e-talab hee maujib-e-darmaandagee na ho Manzil hai duur aur qadam tez abhee se hai Kyaa irtibaat-e-husn-o-mohabbat kee ho umiid Vo jaan-e-shauq ham se kam-aamez abhee se hai Tarteeb-e-kaarvaan men bahut der hai magar Aavaaza-e-jaras hai ki mahmez abhee se hai Pahlee hee zarb-e-tesha se koh-e-giraan hai chuur Hasrat-ma.aal satvat-e-parvez abhee se hai Kyaa jaane mai-kashon kaa ho kyaa hashr sub.h tak Saaqee kee har nigaah dil-aavez abhee se hai Ye ibtidaa-e-shauq ye pur-shauq dil miraa! Ik jaam-e-aatisheen hai ki labrez abhee se hai 'taabish' bharee bahaar men koee bichhaD gayaa Ab ke chaman men boo-e-khizaan tez abhee se hai