azaab tuute dilon ko har ik nafas guzraa

Tabish Dehlvi

Azaab TuuTe dilon ko har ik nafas guzraa Shikasta-paa the garaan muzhda-e-jaras guzraa Hujoom-e-jalva-o-nairangee-e-tamannaa se Tamaam mausam-e-gul mausam-e-havas guzraa Ajab naheen ki hayaat-e-davaam bhee bakhshe Vo ek lamha-e-furqat jo ik baras guzraa Ye maslahat ki kaheen dahr hai kaheen firdaus Vahee jo aalam-e-dil ham pe ham-nafas guzraa Gham-e-ma.aal rahaa arz-e-shauq se pahle Is ek baat pe kyaa kyaa na pesh-o-pas guzraa Kashaakash-e-gham-e-aazaadee-o-aseeree men Har aashiyaan pe koee aalam-e-qafas guzraa Rah-e-talab men hain dar-maanda raahbar 'taabish' Yahee hai haal to ye qaafila bhee bas guzraa