bahut jabiin o rukh o lab bahut qad o gesuu
— Tabish Dehlvi
Bahut jabeen-o-rukh-o-lab bahut qad-o-gesoo
Talab hai shart-e-sukoon ke hazaar-haa pahloo
Jo be-khudee hai salaamat to mil hee jaa.egaa
Baraa-e-fursat-e-andesha yaar kaa zaanoo
Hazaar dasht-e-balaa halqa-e-asar men hain
Miraa junoon hai ki chashm-e-ghazaal kaa jaadoo
Ye raaz khol diyaa teree kam-nigaahee ne
Sukoon kee ek nazar dard ke bahut pahloo
Sabaa hazaar kare boo-e-gul kee aamezish
Na dab sakegee tire jism-e-naaz kee khushboo
Ik iztiraab-e-haseen hai fishaar-e-tangee-e-mai
Kanaar-e-shauq men too hai ki daam men aahoo
Bahut hai ahl-e-baseerat ko ek jalva bhee
Vafoor-e-tishna-labee ho agar to kham hai suboo
Junoon aur ahl-e-junoon kaa vo qaht hai 'taabish'
UThaa na dasht se phir koee na.ara-e-yaahoo