ek jalva ba sad andaaz e nazar dekh liyaa
— Tabish Dehlvi
Ek jalva ba-sad andaaz-e-nazar dekh liyaa
Tujh ko hee dekhaa kiye tujh ko agar dekh liyaa
Jaise sar phoD ke mil jaa.egee zindaan se najaat
Kyaa junoon ne koee deevaar men dar dekh liyaa
Baaz hai aaj talak deeda-e-hairaan kee tarah
Dasht-e-vahshat ne kise khaak-basar dekh liyaa
Jurm-e-nazzaara kee paataa hai sazaa dil ab tak
Ahl-e-dil dekh liyaa ahl-e-nazar dekh liyaa
Soorat-e-naqsh-e-qadam deeda-e-mushtaaq hain ham
Jab bhee vo aayaa sar-e-raahguzar dekh liyaa
Yahee hasrat hai ki vo ek nazar dekh to le
Aur us ne kabhee is samt agar dekh liyaa
Kaheen parda hai tajallee kaheen jalva hai hijaab
Ye tamaashaa bhee tiraa zauq-e-nazar dekh liyaa
Roz ik taaza gham-e-dahr hai naazil 'taabish'
Ek toofaan-e-balaa ne miraa ghar dekh liyaa