har ik daag e dil shama saan dekhtaa huun
— Tabish Dehlvi
Har ik daagh-e-dil sham.a saan dekhtaa huun
Tiree anjuman zau-fishaan dekhtaa huun
Ta.ayyun se aazaad hain mere sajde
Jabeen par tiraa aastaan dekhtaa huun
Fareb-e-tasavvur hai qaid-e-qafas hai
Har ik shaakh par aashiyaan dekhtaa huun
Main raah-e-talab kaa huun pasmaanda rah-rav
Ghubaar-e-rah-e-kaarvaan dekhtaa huun
Ba-andaaza-e-zauq-e-eezaa-pasandee
Use aaj main mehrbaan dekhtaa huun
Pilaa kar mujhe mahram-e-hosh rakkhaa
Ye e.ajaaz-e-peer-e-mughaan dekhtaa huun
Miree zindagee mahram-e-gham hai 'taabish'
Nafas ko ba-rang-e-fughaan dekhtaa huun