maanaa jaan kaah bahut gam kaa nihaan rakhnaa hai

Tabish Dehlvi

Maanaa jaan-kaah bahut gham kaa nihaan rakhnaa hai Gham kaa iz.haar to sho'le pe zabaan rakhnaa hai Bujhte sooraj ko haraarat kee zaroorat hogee Is liye khud ko abhee sho'la-ba-jaan rakhnaa hai Baab-e-insaaf isee tarh se shaayad khul jaa.e Apne har saans ko sar-garm-e-fughaan rakhnaa hai Khulee aankhon se to hai dekhnee duniyaa lekin Apnee jaanib bhee to chashm-e-nigaraan rakhnaa hai Shorish-e-gham se na ho jaa.e tamannaa majrooh Qarya-e-jaan men mujhe amn-o-amaan rakhnaa hai Faisla ab ye makeenon hee ko karnaa hogaa Ghar ko ghar rakhnaa hai yaa ghar ko makaan rakhnaa hai Is qadar koo-e-shab-o-roz se naa-vaaqif huun Baar-e-hastee naheen maa'loom kahaan rakhnaa hai Lahja badle to badal jaatee hai fitrat 'taabish' Ham ko apnaa yahee andaaz-e-bayaan rakhnaa hai