mah o parviin tah e kamand rahe
— Tabish Dehlvi
Mah-o-parveen tah-e-kamand rahe
Kin fazaaon men ham buland rahe
Gham-e-hastee se be-niyaaz sahee
Ahl-e-dil phir bhee dard-mand rahe
Chashm-e-uqda-kushaa se bhee na khule
Ham kuchh is tarah band band rahe
Bar-sar-e-daar ham sahee lekin
Harf-e-haq kee tarah buland rahe
Husn kee khud-numaa.eeyaan tauba
Muddaton ham bhee khud-pasand rahe
Mai-o-mastee naheen hai us pe haraam
Mai-kade men jo hosh-mand rahe
Ham hain rahbar se do qadam aage
Hausle shauq se do-chand rahe
Dushmanon kaa gilaa naheen 'taabish'
Dost bhee darpai-e-gazand rahe