sab gam kahen jise ki tamannaa kahen jise
— Tabish Dehlvi
Sab gham kahen jise ki tamannaa kahen jise
Vo iztiraab-e-shauq hai ham kyaa kahen jise
Hai johd-e-munfarid sabab-e-kaarobaar-e-dahr
Ik iztiraab-e-qatra hai dariyaa kahen jise
Ne.amat kaa e'tibaar hai husn-e-qubool se
Ishrat bhee ek gham hai gavaaraa kahen jise
Miltaa naheen hai ahl-e-junoon kaa koee suraagh
Bas ek naqsh-e-paa hai ki sahraa kahen jise
Pahle hayaat-e-shauq thee allaah-re inqalaab
Ab e'tibaar-e-gham hai tamannaa kahen jise
Hai mere kaa.enaat-e-tasavvur kaa ik fareb
Vo jalva-e-khayaal ki duniyaa kahen jise
Kuchh kam-nigaahiyaan hain tajallee kee aaD se
Aisee bhee ik nigaah-e-tamaashaa kahen jise
Tanhaa.ee-e-khayaal se 'taabish' ye haal hai
Aisa koee naheen ki ham apnaa kahen jise