yuun naqaab e rukh muqaabil se uthii

Tabish Dehlvi

Yuun naqaab-e-rukh muqaabil se uThee Chashm-e-sad-nazzaara mushkil se uThee Baazgasht-e-shor-e-gharqaabee sahee Koee to aavaaz saahil se uThee Qaafile hain kitne darmaanda khiraam Gard raahon se na manzil se uThee Thaam kar dil kyaa uThe arbaab-e-dard Ik qayaamat teree mahfil se uThee Sar se bhee guzree hai toofaan kee tarah Jab bhee koee mauj-e-khoon dil se uThee Chashm-e-nazzaara se maanind-e-hijaab Tohmat-e-nazzaara mushkil se uThee