zer e lab rahaa naala dard kii davaa ho kar
— Tabish Dehlvi
Zer-e-lab rahaa naala dard kee davaa ho kar
Aah ne sukoon bakhshaa aah-e-naa-rasaa ho kar
Kar diyaa ta.ayyun se zauq-e-ijz ko aazaad
Naqsh-e-sajda ne mere teraa naqsh-e-paa ho kar
Fart-e-gham se behis huun gham hai gham na hone kaa
Dard kar diyaa paidaa dard ne davaa ho kar
Ho chuke hain sil baazoo hai na himmat-e-parvaaz
Ham rihaa na ho paa.e qaid se rihaa ho kar
Hasraten nikaltee hain meree jaan jaatee hai
Dam labon pe aataa hai harf-e-mudda.aa ho kar
Gham pe gham mujhe de kar gham se kar diyaa mahroom
Kyaa milaa zamaane ko sabr-aazmaa ho kar
Ranj-e-aish hai baaqee ab na aish-e-gham 'taabish'
Kuchh khabar naheen mujh ko rah gayaa huun kyaa ho kar