chiikhte hain dar o diivaar nahiin hotaa main
— Tahzeeb Hafi
Cheekhte hain dar-o-deevaar naheen hotaa main
Aankh khulne pe bhee bedaar naheen hotaa main
Khvaab karnaa ho safar karnaa ho yaa ronaa ho
Mujh men khoobee hai bezaar naheen hotaa men
Ab bhalaa apne liye bannaa sanvarnaa kaisaa
Khud se milnaa ho to tayyaar naheen hotaa main
Kaun aa.egaa bhalaa meree 'ayaadat ke liye
Bas isee khauf se beemaar naheen hotaa main
Manzil-e-'ishq pe niklaa to kahaa raste ne
Har kisee ke liye hamvaar naheen hotaa main
Teree tasveer se taskeen naheen hotee mujhe
Teree aavaaz se sarshaar naheen hotaa main
Log kahte hain main baarish kee tarah huun 'haafee'
Aksar auqaat lagaataar naheen hotaa main