ik tiraa hijr daaimii hai mujhe
— Tahzeeb Hafi
Ik tiraa hijr daa.imee hai mujhe
Varna har chiiz aarzee hai mujhe
Ek saaya mire ta.aaqub men
Ek aavaaz DhoonDtee hai mujhe
Meree aankhon pe do muqaddas haath
Ye andheraa bhee raushnee hai mujhe
Main sukhan men huun us jagah ki jahaan
Saans lenaa bhee shaa.iree hai mujhe
In parindon se bolnaa seekhaa
PeD se khaamushee milee hai mujhe
Main use kab kaa bhool-bhaal chukaa
Zindagee hai ki ro rahee hai mujhe
Main ki kaaghaz kee ek kashtee huun
Pahlee baarish hee aakhiree hai mujhe