is ek dar se khvaab dekhtaa nahiin
— Tahzeeb Hafi
Is ek Dar se khvaab dekhtaa naheen
Main jo bhee dekhtaa huun bhooltaa naheen
Kisee munDer par koee diyaa jalaa
Phir is ke baad kyaa huaa pataa naheen
Abhee se haath kaanpne lage mire
Abhee to main ne vo badan chhuaa naheen
Main aa rahaa thaa raaste men phuul the
Main jaa rahaa huun koee roktaa naheen
Tiree taraf chale to umr kaT ga.ee
Ye aur baat raasta kaTaa naheen
Main raah se bhaTak gayaa to kyaa huaa
Charaagh mere haath men to thaa naheen
Main in dinon huun khud se itnaa be-khabar
Main mar chukaa huun aur mujhe pataa naheen
Us azhdahe kee aankh poochhtee rahee
Kisee ko khauf aa rahaa hai yaa naheen
Ye ishq bhee ajab ki ek shakhs se
Mujhe lagaa ki ho gayaa huaa naheen
Khudaa kare vo peD khairiyat se ho
Ka.ee dinon se us kaa raabta naheen