jaane vaale se raabta rah jaae
— Tahzeeb Hafi
Jaane vaale se raabta rah jaa.e
Ghar kee deevaar par diyaa rah jaa.e
Ik nazar jo bhee dekh le tujh ko
Vo tire khvaab dekhtaa rah jaa.e
Itnee girhen lagee hain is dil par
Koee khole to kholtaa rah jaa.e
Koee kamre men aag taaptaa ho
Koee baarish men bheegtaa rah jaa.e
Niind aisee ki raat kam paD jaa.e
Khvaab aisaa ki munh khulaa rah jaa.e
Jhiil saif-ul-mulook par jaa.oon
Aur kamre men camera rah jaa.e