jab kisii ek ko rihaa kiyaa jaae
— Tahzeeb Hafi
Jab kisee ek ko rihaa kiyaa jaa.e
Sab aseeron se mashvara kiyaa jaa.e
Rah liyaa jaa.e apne hone par
Apne marne pe hausla kiyaa jaa.e
'ishq karne men kyaa buraa.ee hai
Haan kiyaa jaa.e baarhaa kiyaa jaa.e
Meraa ik yaar sindh ke us paar
Naa-khudaaon se raabta kiyaa jaa.e
Meree naqlen utaarne lagaa hai
Aa.ine kaa bataao kyaa kiyaa jaa.e
Khaamushee se ladaa huaa ik peD
Is se chal kar mukaalima kiyaa jaa.e