khud pe jab dasht kii vahshat ko musallat karuungaa

Tahzeeb Hafi

Khud pe jab dasht kee vahshat ko musallat karoongaa Is qadar khaak uDaa.oongaa qayaamat karoongaa Hijr kee raat miree jaan ko aa.ee huee hai Bach gayaa to main mohabbat kee mazammat karoongaa Jis ke saa.e men tujhe pahle pahal dekhaa thaa Main isee peD ke neeche tiree bai'at karoongaa Ab tire raaz sambhaale naheen jaate mujh se Main kisee roz amaanat men khayaanat karoongaa Teree yaadon ne agar haath baTaayaa meraa Apne TuuTe hue khvaabon kee marammat karoongaa Lailatul-qadr guzaaroongaa kisee jangal men Nuur barsegaa darakhton kee imaamat karoongaa