main ne ye kab kahaa hai ki vo mujh ko tanhaa nahiin chhodtaa
— Tahzeeb Hafi
Main ne ye kab kahaa hai ki vo mujh ko tanhaa naheen chhoDtaa
ChhoDtaa hai magar ek din se ziyaada naheen chhoDtaa
Kaun sahraaon kee pyaas hai in makaanon kee buniyaad men
Baarishon se agar bach bhee jaa.en to dariyaa naheen chhoDtaa
Duur ummeed kee khiDkiyon se koee jhaanktaa hai yahaan
Aur mere galee chhoDne tak dareecha naheen chhoDtaa
Main jise chhoD kar tum se chhup kar milaa huun agar aaj vo
Dekh letaa to shaayad vo donon ko zinda naheen chhoDtaa
Kaun-o-imakaan men do tarah ke hee to sho.abada-baaz hain
Ek parda giraataa hai aur ek parda naheen chhoDtaa
Sach kahoon meree qurbat to khud us kee saanson kaa vardaan hai
Main jise chhoD detaa huun us ko qabeela naheen chhoDtaa
Tai-shuda vaqt par vo pahunch jaataa hai pyaar karne vasool
Jis tarah apnaa qarza kabhee koee baniyaa naheen chhoDtaa
Pahle mujh par bahut bhaunktaa hai ki main ajnabee huun koee
Aur agar ghar se jaane kaa boloon to kurtaa naheen chhoDtaa
Log kahte hain tahzeeb 'haafee' use chhoD kar Thiik hai
Hijr itnaa hee aasaan hotaa to taunsa naheen chhoDtaa