qadam rakhtaa hai jab raston pe yaar aahista aahista
— Tahzeeb Hafi
Qadam rakhtaa hai jab raston pe yaar aahista aahista
To chhaT jaataa hai sab gard-o-ghubaar aahista aahista
Bharee aankhon se ho ke dil men jaanaa sahl thoDee hai
ChaDhe dariyaaon ko karte hain paar aahista aahista
Nazar aataa hai to yuun dekhtaa jaataa huun main us ko
Ki chal paDtaa hai jaise kaarobaar aahista aahista
Udhar kuchh aurten darvaazon par dauDee huee aa.iin
Idhar ghoDon se utre shahsavaar aahista aahista
Kisee din kaarkhaana-e-ghazal men kaam niklegaa
PalaT aa.enge sab be-rozgaar aahista aahista
Tiraa paikar khudaa ne bhee to fursat men banaayaa thaa
Banaa.egaa tire zevar sunaar aahista aahista
Miree gosha-nasheenee ek din baazaar dekhegee
Zaroorat kar rahee hai be-qaraar aahista aahista