sab kii kahaanii ek taraf hai meraa qissa ek taraf
— Tahzeeb Hafi
Sab kee kahaanee ek taraf hai meraa qissa ek taraf
Ek taraf sairaab hain saare aur main pyaasaa ek taraf
Ek taraf tumhen jaldee hai us ke dil men ghar karne kee
Ek taraf vo kar detaa hai rafta rafta ek taraf
Meree marzee thee main zarre chuntaa yaa lahren chuntaa
Us ne sahraa ek taraf rakhaa aur dariyaa ek taraf
Main ne ab tak jitne bhee logon men khuud ko baanTaa hai
Bachpan se rakhtaa aaya huun teraa hissa ek taraf
Jab se us ne kheenchaa hai khiDkee kaa parda ek taraf
Us kaa kamraa ek taraf hai baaqee duniyaa ek taraf
Yuun to aaj bhee teraa dukh dil dahlaa detaa hai lekin
Tujh se judaa hone ke baad kaa pahlaa hafta ek taraf