shor karuungaa aur na kuchh bhii boluungaa

Tahzeeb Hafi

Shor karoongaa aur na kuchh bhee boloongaa Khaamoshee se apnaa ronaa ro loongaa Saaree umr isee khvaahish men guzree hai Dastak hogee aur darvaaza kholoongaa Tanhaa.ee men khud se baaten karnee hain Mere munh men jo aa.egaa boloongaa Raat bahut hai tum chaaho to so jaao Meraa kyaa hai main din men bhee so loongaa Tum ko dil kee baat bataanee hai lekin Aankhen band karo to muTThee kholoongaa