vaise main ne duniyaa men kyaa dekhaa hai
— Tahzeeb Hafi
Vaise main ne duniyaa men kyaa dekhaa hai
Tum kahte ho to phir achchhaa dekhaa hai
Main us ko apnee vahshat tohfe men duun
Haath uThaa.e jis ne sahraa dekhaa hai
Bin dekhe us kee tasveer banaa loongaa
Aaj to main ne us ko itnaa dekhaa hai
Ek nazar men manzar kab khulte hain dost
Too ne dekhaa bhee hai to kyaa dekhaa hai
'ishq men banda mar bhee saktaa hai main ne
Dil kee dastaavez men likkhaa dekhaa hai
Main to aankhen dekh ke hee batlaa doongaa
Tum men se kis kis ne dariyaa dekhaa hai
Aage seedhe haath pe ek taraa.ee hai
Main ne pahle bhee ye rasta dekhaa hai
Tum ko to is baagh kaa naam pataa hogaa
Tum ne to is shahr kaa naqsha dekhaa hai