ye ek baat samajhne men raat ho gaii hai
— Tahzeeb Hafi
Ye ek baat samajhne men raat ho ga.ee hai
Main us se jiit gayaa huun ki maat ho ga.ee hai
Main ab ke saal parindon kaa din manaa.oongaa
Miree qareeb ke jangal se baat ho ga.ee hai
BichhaD ke tujh se na khush rah sakoongaa sochaa thaa
Tiree judaa.ee hee vaj.h-e-nashaat ho ga.ee hai
Badan men ek taraf din tulooa main ne kiyaa
Badan ke doosre hisse men raat ho ga.ee hai
Main jangalon kee taraf chal paDaa huun chhoD ke ghar
Ye kyaa ki ghar kee udaasee bhee saath ho ga.ee hai
Rahegaa yaad madeene se vaapsee kaa safar
Main nazm likhne lagaa thaa ki na.at ho ga.ee hai