ye kis ne baag se us shakhs ko bulaa liyaa hai
— Tahzeeb Hafi
Ye kis ne baagh se us shakhs ko bulaa liyaa hai
Parind uD ga.e peDon ne munh banaa liyaa hai
Use pataa thaa main chhoone men vaqt letaa huun
So us ne vasl kaa dauraaniya baDhaa liyaa hai
Ye raat naam naheen le rahee thee kaTne kaa
Charaagh joD ke logon ne din banaa liyaa hai
Darakht chhaaon se haT kar bhee aur bahut kuchh hai
Ye kaisee chiiz thee aur ham ne kaam kyaa liyaa hai
Khurach rahaa huun main deevaar par likhe hue naam
'ajeeb tarh kee ik bebasee ne aa liyaa hai