andheraa zehn kaa samt e safar jab khone lagtaa hai
— Waseem Barelvi
Andheraa zehn kaa samt-e-safar jab khone lagtaa hai
Kisee kaa dhyaan aataa hai ujaalaa hone lagtaa hai
Vo jitnee duur ho utnaa hee meraa hone lagtaa hai
Magar jab paas aataa hai to mujh se khone lagtaa hai
Kisee ne rakh diye mamtaa-bhare do haath kya sar par
Mire andar koi bachcha bilak kar rone lagtaa hai
Mohabbat chaar din kee aur udaasee zindagee bhar kee
Yahee sab dekhtaa hai aur 'kabeeraa' rone lagtaa hai
Samajhte hee nahin naadaan kai din kee hai milkiyyat
Paraa.e kheton pe apnon men jhagDaa hone lagtaa hai
Ye dil bach kar zamaane bhar se chalnaa chaahe hai lekin
Jab apnee raah chaltaa hai akelaa hone lagtaa hai
Andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai
Kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai
Wo jitni dur ho utna hi mera hone lagta hai
Magar jab pas aata hai to mujh se khone lagta hai
Kisi ne rakh diye mamta-bhare do hath kya sar par
Mere andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai
Mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki
Yahi sab dekhta hai aur 'kabira' rone lagta hai
Samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat
Parae kheton pe apnon mein jhagDa hone lagta hai
Ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin
Jab apni rah chalta hai akela hone lagta hai