apne har har lafz kaa khud aaina ho jaauungaa
— Waseem Barelvi
Apne har har lafz kaa khud aa.ina ho jaa.oongaa
Us ko chhoTaa kah ke main kaise baDaa ho jaa.oongaa
Tum giraane men lage the tum ne sochaa hee nahin
Main giraa to mas.ala ban kar khaDaa ho jaa.oongaa
Mujh ko chalne do akelaa hai abhee meraa safar
Raasta rokaa gaya to qaafila ho jaa.oongaa
Saaree dunya kee nazar men hai miraa ahd-e-wafa
Ik tire kahne se kya main bevafaa ho jaa.oongaa
Apne har har lafz ka KHud aaina ho jaunga
Us ko chhoTa kah ke main kaise baDa ho jaunga
Tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
Main gira to masala ban kar khaDa ho jaunga
Mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
Rasta roka gaya to qafila ho jaunga
Sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
Ek tere kahne se kya main bewafa ho jaunga