chaand kaa khvaab ujaalon ki nazar lagtaa hai
— Waseem Barelvi
Chaand kaa khvaab ujaalon kee nazar lagtaa hai
Too jidhar ho ke guzar jaa.e khabar lagtaa hai
Us kee yaadon ne ugaa rakkhe hain suraj itne
Shaam kaa waqt bhee aa.e to sahar lagtaa hai
Ek manzar pe Thaharne nahin detee fitrat
Umr bhar aankh kee qismat men safar lagtaa hai
Main nazar bhar ke tire jism ko jab dekhtaa hoon
Pahlee baarish men nahaayaa saa shajar lagtaa hai
Be-sahaaraa tha bahut pyaar koi poochhtaa kya
Too ne kaandhe pe jagah dee hai to sar lagtaa hai
Teree qurbat ke ye lamhe use raas aa.en kya
Sub.h hone kaa jise shaam se Dar lagtaa hai
Chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai
Tu jidhar ho ke guzar jae KHabar lagta hai
Us ki yaadon ne uga rakkhe hain suraj itne
Sham ka waqt bhi aae to sahar lagta hai
Ek manzar pe Thaharne nahin deti fitrat
Umr bhar aankh ki qismat mein safar lagta hai
Main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hun
Pahli barish mein nahaya sa shajar lagta hai
Be-sahaara tha bahut pyar koi puchhta kya
Tu ne kandhe pe jagah di hai to sar lagta hai
Teri qurbat ke ye lamhe use ras aaen kya
Subh hone ka jise sham se Dar lagta hai