dukh apna agar ham ko bataanaa nahin aataa
— Waseem Barelvi
Dukh apna agar ham ko bataanaa nahin aataa
Tum ko bhee to andaaza lagaanaa nahin aataa
Pahunchaa hai buzurgon ke bayaanon se jo ham tak
Kyaa baat huee kyuun wo zamaana nahin aataa
Main bhee use khone kaa hunar siikh na paayaa
Us ko bhee mujhe chhoD ke jaanaa nahin aataa
Is chhoTe zamaane ke baDe kaise banoge
Logon ko jab aapas men laDaanaa nahin aataa
DhoonDhe hai to palkon pe chamakne ke bahaane
Aansoo ko miree aankh men aanaa nahin aataa
Taareekh kee aankhon men dhuaan ho ga.e khud hee
Tum ko to koi ghar bhee jalaanaa nahin aataa
Dukh apna agar hum ko batana nahin aata
Tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
Pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak
Kya baat hui kyun wo zamana nahin aata
Main bhi use khone ka hunar sikh na paya
Us ko bhi mujhe chhoD ke jaana nahin aata
Is chhoTe zamane ke baDe kaise banoge
Logon ko jab aapas mein laDana nahin aata
DhunDhe hai to palkon pe chamakne ke bahane
Aansu ko meri aankh mein aana nahin aata
TariKH ki aankhon mein dhuan ho gae KHud hi
Tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata