duur se hi bas dariyaa dariyaa lagtaa hai
— Waseem Barelvi
Duur se hee bas dariyaa dariyaa lagtaa hai
Duub ke dekho kitnaa pyaasaa lagtaa hai
Tanhaa ho to ghabraayaa saa lagtaa hai
BhiiD men us ko dekh ke achchhaa lagtaa hai
Aaj ye hai kal aur yahaan hogaa koi
Socho to sab khel-tamaashaa lagtaa hai
Main hee na maanoon mere bikharne men varna
Duniyaa bhar ko haath tumhaaraa lagtaa hai
Zehn se kaaghaz par tasveer utarte hee
Ek musavvir kitnaa akelaa lagtaa hai
Pyaar ke is nashsha ko koi kya samjhe
Thokar men jab saaraa zamaana lagtaa hai
BhiiD men rah kar apna bhee kab rah paataa
Chaand akelaa hai to sab kaa lagtaa hai
Shaakh pe baiThee bholee-bhaalee ik chiDiyaa
Kyaa jaane us par bhee nishaana lagtaa hai
Dur se hi bas dariya dariya lagta hai
Dub ke dekho kitna pyasa lagta hai
Tanha ho to ghabraya sa lagta hai
BhiD mein us ko dekh ke achchha lagta hai
Aaj ye hai kal aur yahan hoga koi
Socho to sab khel-tamasha lagta hai
Main hi na manun mere bikharne mein warna
Duniya bhar ko hath tumhaara lagta hai
Zehn se kaghaz par taswir utarte hi
Ek musawwir kitna akela lagta hai
Pyar ke is nashsha ko koi kya samjhe
Thokar mein jab sara zamana lagta hai
BhiD mein rah kar apna bhi kab rah pata
Chand akela hai to sab ka lagta hai
ShaKH pe baiThi bholi-bhaali ek chiDiya
Kya jaane us par bhi nishana lagta hai