ham apne aap ko ik masala banaa na sake
— Waseem Barelvi
Ham apne aap ko ik mas.ala banaa na sake
Isee liye to kisee kee nazar men aa na sake
Ham aansuon kee tarah vaaste nibhaa na sake
Rahe jin aankhon men un men hee ghar banaa na sake
Phir aandhiyon ne sikhaayaa vahaan safar kaa hunar
Jahaan charaagh hamen raasta dikhaa na sake
Jo pesh pesh the bastee bachaane vaalon men
Lagee jab aag to apna bhee ghar bachaa na sake
Mire khuda kisee aisi jagah use rakhnaa
Jahaan koi mire baare men kuch bataa na sake
Tamaam umr kee koshish kaa bas yahee haasil
Kisee ko apne mutaabiq koi banaa na sake
Tasalliyon pe bahut din jiyaa nahin jaataa
Kuchh aisa ho ke tiraa e.atibaar aa na sake
Hum apne aap ko ek masala bana na sake
Isi liye to kisi ki nazar mein aa na sake
Hum aansuon ki tarah waste nibha na sake
Rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake
Phir aandhiyon ne sikhaya wahan safar ka hunar
Jahan charagh hamein rasta dikha na sake
Jo pesh pesh the basti bachane walon mein
Lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake
Mere KHuda kisi aisi jagah use rakhna
Jahan koi mere bare mein kuch bata na sake
Tamam umr ki koshish ka bas yahi hasil
Kisi ko apne mutabiq koi bana na sake
Tasalliyon pe bahut din jiya nahin jata
Kuchh aisa ho ke tera eatibar aa na sake