hamaaraa azm e safar kab kidhar kaa ho jaae
— Waseem Barelvi
Hamaaraa azm-e-safar kab kidhar kaa ho jaa.e
Ye wo nahin jo kisee rahguzar kaa ho jaa.e
Usee ko jiine kaa haq hai jo is zamaane men
Idhar kaa lagtaa rahe aur udhar kaa ho jaa.e
Khulee havaaon men uDnaa to us kee fitrat hai
Parinda kyuun kisee shaakh-e-shajar kaa ho jaa.e
Main laakh chaahoon magar ho to ye nahin saktaa
Ki teraa chehraa miree hee nazar kaa ho jaa.e
Miraa na hone se kya farq us ko paDnaa hai
Pata chale jo kisee kam-nazar kaa ho jaa.e
'vaseem' sub.h kee tanhaa.i-e-safar socho
Mushaa.era to chalo raat bhar kaa ho jaa.e
Hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae
Ye wo nahin jo kisi rahguzar ka ho jae
Usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein
Idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae
Khuli hawaon mein uDna to us ki fitrat hai
Parinda kyun kisi shaKH-e-shajar ka ho jae
Main lakh chahun magar ho to ye nahin sakta
Ki tera chehra meri hi nazar ka ho jae
Mera na hone se kya farq us ko paDna hai
Pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jae
'wasim' subh ki tanhai-e-safar socho
Mushaera to chalo raat bhar ka ho jae