jahaan Dariya kahiin apne kinaare chhod deta hai
— Waseem Barelvi
Jahaan Dariya kaheen apne kinaare chhoD deta hai
Koee uThtaa hai aur toofaan kaa rukh moD deta hai
Mujhe be-dast-o-paa kar ke bhee khauf us kaa nahin jaataa
Kaheen bhee haadisa guzre wo mujh se joD deta hai
BichhaD ke tujh se kuch jaanaa agar to is qadar jaanaa
Vo miTTee hoon jise Dariya kinaare chhoD deta hai
Mohabbat men zaraa see bevafaa.ee to zarooree hai
Vahee achchhaa bhee lagtaa hai jo va.ade tod deta hai
Jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai
Koi uThta hai aur tufan ka ruKH moD deta hai
Mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi KHauf us ka nahin jata
Kahin bhi hadisa guzre wo mujh se joD deta hai
BichhaD ke tujh se kuch jaana agar to is qadar jaana
Wo miTTi hun jise dariya kinare chhoD deta hai
Mohabbat mein zara si bewafai to zaruri hai
Wahi achchha bhi lagta hai jo wade tod deta hai