kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai
— Waseem Barelvi
Kahaan savaab kahaan kya azaab hota hai
Mohabbaton men kab itnaa hisaab hota hai
BichhaD ke mujh se tum apnee kashish na kho denaa
Udaas rehne se chehraa kharaab hota hai
Use pataa hee nahin hai ki pyaar kee baazee
Jo haar jaa.e vahee kaamyaab hota hai
Jab us ke paas ganvaane ko kuch nahin hota
To koi aaj kaa izzat-ma.aab hota hai
Jise main likhtaa hoon aise ki khud hee paDh paanv
Kitaab-e-zeest men aisa bhee baab hota hai
Bahut bharosa na kar lenaa apnee aankhon par
Dikhaa.ee deta hai jo kuch wo khvaab hota hai
Kahan sawab kahan kya azab hota hai
Mohabbaton mein kab itna hisab hota hai
BichhaD ke mujh se tum apni kashish na kho dena
Udas rehne se chehra KHarab hota hai
Use pata hi nahin hai ki pyar ki bazi
Jo haar jae wahi kaamyab hota hai
Jab us ke pas ganwane ko kuch nahin hota
To koi aaj ka izzat-maab hota hai
Jise main likhta hun aise ki KHud hi paDh panw
Kitab-e-zist mein aisa bhi bab hota hai
Bahut bharosa na kar lena apni aankhon par
Dikhai deta hai jo kuch wo KHwab hota hai