khilaunaa
— Waseem Barelvi
Der se ek naa-samajh bachcha
Ik khilaune ke Toot jaane par
Is tarah se udaas baiThaa hai
Jaise mayyat qareeb rakkhee ho
Aur marne ke ba.ad har har baat
Marne vaale kee yaad aatee ho
Jaane kya kya zaraa tavaqquf se
Soch letaa hai aur rotaa hai
Lekin itnee khabar kahaan us ko
Zindagee ke ajiib haathon men
Ye bhee miTTee kaa ik khilaunaa hai
Der se ek na-samajh bachcha
Ek khilaune ke TuT jaane par
Is tarah se udas baiTha hai
Jaise mayyat qarib rakkhi ho
Aur marne ke baad har har baat
Marne wale ki yaad aati ho
Jaane kya kya zara tawaqquf se
Soch leta hai aur rota hai
Lekin itni KHabar kahan us ko
Zindagi ke ajib hathon mein
Ye bhi miTTi ka ek khilauna hai