khul ke milne kaa saliiqa aap ko aataa nahin
— Waseem Barelvi
Khul ke milne kaa saleeqa aap ko aataa nahin
Aur mere paas koi chor darvaaza nahin
Vo samajhtaa tha use paa kar hee main rah jaa.oongaa
Us ko meree pyaas kee shiddat kaa andaaza nahin
Jaa dikhaa dunya ko mujh ko kya dikhaataa hai ghuroor
Too samundar hai to hai main to magar pyaasaa nahin
Koee bhee dastak kare aahaT ho yaa awaaz de
Mere haathon men miraa ghar to hai darvaaza nahin
Apnon ko apna kahaa chaahe kisee darje ke hon
Aur jab aisa kiyaa main ne to sharmaayaa nahin
Us kee mahfil men unheen kee raushnee jin ke charaagh
Main bhee kuch hota to meraa bhee diyaa hota nahin
Tujh se kya bichhDaa miree saaree haqeeqat khul ga.ee
Ab koi mausam mile to mujh se sharmaataa nahin
Khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin
Aur mere pas koi chor darwaza nahin
Wo samajhta tha use pa kar hi main rah jaunga
Us ko meri pyas ki shiddat ka andaza nahin
Ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur
Tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin
Koi bhi dastak kare aahaT ho ya aawaz de
Mere hathon mein mera ghar to hai darwaza nahin
Apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon
Aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin
Us ki mahfil mein unhin ki raushni jin ke charagh
Main bhi kuch hota to mera bhi diya hota nahin
Tujh se kya bichhDa meri sari haqiqat khul gai
Ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin