kitnaa dushvaar tha dunya ye hunar aanaa bhi
— Waseem Barelvi
Kitnaa dushvaar tha dunya ye hunar aanaa bhee
Tujh se hee faasla rakhnaa tujhe apnaanaa bhee
Kaisee aadaab-e-numaa.ish ne lagaa.een sharten
Phuul honaa hee nahin phuul nazar aanaa bhee
Dil kee bigDee huee aadat se ye ummeed na thee
Bhuul jaa.egaa ye ik din tiraa yaad aanaa bhee
Jaane kab shahr ke rishton kaa badal jaa.e mizaaj
Itnaa aasaan to nahin lauT ke ghar aanaa bhee
Aise rishte kaa bharam rakhnaa koi khel nahin
Teraa honaa bhee nahin aur tiraa kahlaanaa bhee
Khud ko pahchaan ke dekhe to zaraa ye Dariya
Bhuul jaa.egaa samundar kee taraf jaanaa bhee
Jaanne vaalon kee is bhiiD se kya hogaa 'vaseem'
Is men ye dekhiye koi mujhe pahchaanaa bhee
Kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi
Tujh se hi fasla rakhna tujhe apnana bhi
Kaisi aadab-e-numaish ne lagain sharten
Phul hona hi nahin phul nazar aana bhi
Dil ki bigDi hui aadat se ye ummid na thi
Bhul jaega ye ek din tera yaad aana bhi
Jaane kab shahr ke rishton ka badal jae mizaj
Itna aasan to nahin lauT ke ghar aana bhi
Aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
Tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi
KHud ko pahchan ke dekhe to zara ye dariya
Bhul jaega samundar ki taraf jaana bhi
Jaanne walon ki is bhiD se kya hoga 'wasim'
Is mein ye dekhiye koi mujhe pahchana bhi