kuch itnaa khauf kaa maaraa huaa bhi pyaar na ho
— Waseem Barelvi
Kuch itnaa khauf kaa maaraa huaa bhee pyaar na ho
Vo aitbaar dilaa.e aur aitbaar na ho
Havaa khilaaf ho maujon pe ikhtiyaar na ho
Ye kaisee zid hai ki Dariya kisee se paar na ho
Main gaanv lauT raha hoon bahut dinon ke baad
Khudaa kare ki use meraa intizaar na ho
Zaraa see baat pe ghuT ghuT ke sub.h kar denaa
Miree tarah bhee koi meraa gham-gusaar na ho
Dukhee samaaj men aansoo bhare zamaane men
Use ye kaun bataa.e ki ashk-baar na ho
Gunaahgaaron pe unglee uThaa.e dete ho
'vaseem' aaj kaheen tum bhee sangsaar na ho
Kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho
Wo e'tibar dilae aur e'tibar na ho
Hawa KHilaf ho maujon pe iKHtiyar na ho
Ye kaisi zid hai ki dariya kisi se par na ho
Main ganw lauT raha hun bahut dinon ke baad
KHuda kare ki use mera intizar na ho
Zara si baat pe ghuT ghuT ke subh kar dena
Meri tarah bhi koi mera gham-gusar na ho
Dukhi samaj mein aansu bhare zamane mein
Use ye kaun batae ki ashk-bar na ho
Gunahgaron pe ungli uThae dete ho
'wasim' aaj kahin tum bhi sangsar na ho