kya bataauun kaisaa khud ko dar ba dar main ne kiyaa

Waseem Barelvi

Kya bataa.oon kaisaa khud ko dar-ba-dar main ne kiyaa Umr-bhar kis kis ke hisse kaa safar main ne kiyaa Too to nafrat bhee na kar paa.egaa is shiddat ke saath Jis balaa kaa pyaar tujh se be-khabar main ne kiyaa Kaise bachchon ko bataa.oon raaston ke pech-o-kham Zindagee-bhar to kitaabon kaa safar main ne kiyaa Kis ko fursat thee ki batlaataa tujhe itnee see baat Khud se kya bartaav tujh se chhooT kar main ne kiyaa Chand jazbaatee se rishton ke bachaane ko 'vaseem' Kaisaa kaisaa jabr apne aap par main ne kiyaa Kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar main ne kiya Umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya Tu to nafrat bhi na kar paega is shiddat ke sath Jis bala ka pyar tujh se be-KHabar main ne kiya Kaise bachchon ko bataun raston ke pech-o-KHam Zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya Kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat KHud se kya bartaw tujh se chhuT kar main ne kiya Chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'wasim' Kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya